Search This Blog

Sunday, June 15, 2008

My first sayari


Har ahat ehesas hamara dilayegi

Har hawa kissa hamara sunayegi

Hum itni yaadein bhar denge

Na chahate hue bhi aapko yaad humari aayegi.

Woh zindagi hi kya jisme mohabbat nahi,

Woh mohabat hi kya jisme yaadein nahi,

Woh yaadein hi kya jisme tum nahi,

Aur woh tum hi kya jiske saath hum nahi….

Suna hai wo keh kar gaye hai ke ab to hum,

Sirf tumhare khawboo main hi aayenge,

Koi keh de unse ki wo vada kar le hum,

Jindgi bher ke liye so jayenge.

Badi muddat se chaha hai tumhe

Badi duaaon se paya hai tumhe

Tujhe bhulane ka sochu bhi kaise,

Kismat ki lakiroon se churaya hai tumhe

Phool juda hai kato se,

Khushbu se nahi,

Hum juda hai unse,

Magar dil se nahi.

Royengi ye aankhein muskuraane ke baad,

Aayegi raat din dhal jaane ke baad,

Tum kabhi naa ruthnaa mujhse ae yaar,

Shayad ye zindagi hi na ruth jaaye,Tumhare ruth jaane ke baad.

Nakaam si koshish kiya karte hai,

Hum hai ke unse pyar kiya karte hai.

Khuda ne taqdeer mein 1 tuta taara nahi likha,

Aur ek hum hai ke chand ki aarzu kiya karte hai!

Muskurane ki vajah kya jane hum

Hum to unki yaad ko tazaa karte hai.

Kambakth ye hasi bhi aisi hai ki

Unki judai mein bhi ro kar muskurati hai.

Jaam pe jaam peene se kya fayeda,

Raat guzri to utar jayegi,

Kisi ki aankhon se peeyo khuda ki kasam,

Umr saari nashe mein guzar jayegi.

Log kehte hain ke ishq itna mat karo,

Ke husn sar pe sawar ho jaaye,Hum kehte hain ke ishq itna karo,

Ke patthar dil ko bhi tumse pyaar ho jaye……

Har dil ki dhadkan main koi baat hoti hai,

Har udas zindagi main kisi ki yaad hoti hai,

Tume pata ho ya na ho tumhari,

Har khushi ke piche humari duaa hoti hai

No comments: